top of page

December Shayari

1- Wo yaad kya aaya k jaag uthi hein khuwaishein b

taaza dard,sard hawa or pehli raat december ki !!!

​

​

2- Ae december meri umr-e-rawa me yun na aya jaya kar,
teri in sard raato me koi bichda hua bhot yaad ata hai...!!

​

​

3- Ajab soz-e-mohabbat hai
Wahi benaam hasrat hai
Wahi naaz e adawat hai
Tera wo dilnashin chahra
Wahi ik khwab ankhon mein
Tera hi aks rahta hai
Meri be aab jheelon mein
Wahi takrar lafzon ki
Wahi iqrar chahat ka
Teri wo nagmageen baaten
Tera andaz ulfat ka
Wahi yadon ke jalwe hain
Wahi dilkush nazare hai
Wahi sahir sa lahja hai
Wahi kahna 'tumhare' hain
Hawa mein bheegta mausam
Yahi sandes laya hai
Suno tum laot awo na. . .
DECEMBER LAOT AAYA HAI. . . . . .

​

​

4- Ay december tm Q ay....
Bina sawan bina sajan....

​

​

5- Teri yadon ki rawani or ye december
Meri batein , teri kahani or ye december
Mera hath tera sath , lambi sarak or ye December
Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye December
Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye December
Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye December
Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh December
Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye December.....

 

​

6- November Hosh Kar Pagal Ye Tujh Ko Kya Howa AKhir...!!
Bina BarsSsy Chaly Jana Teri Adat Na Thi Pehly..!!

​

​

7- december main kaha tha na main wapas loat aunga,
Suno tum kyun nahi ae ? december loat aya hai

​

​

8- Mai kaise sard hath0n se tmhare gaal cho0ta tha
December mai tumhe meri shararat yad ayegi

​

​

9- Hamary Haal Par Roya December
Woh Dekho Toot Kar Barsa December
Guzar Jata Hy Sara Saal Yun Toh
Nahi Kat'ta Magar Tanha December
Bhala Barish Sy Kya Serab Ho Ga?
Tumhary Wasal Ka Payasa December
Woh Kab Bichra? Nahi Aab Yaad Lekin
Bas Itna Illm Hy Ky Tha December
Yun Palkein Bheegati Rehti Hain..
Meri Aankhon Main Jaise Aa Thehra December
Abhi Tak Koher Main Dooba Hy Aangan
Abhi Tak Yaad Hy Pichla December
Sabab Na Pooch Mery Aanso'on Ka
Hy Pehly Hijr Ka Pehla December
Main Inn Yaadon Sy Bach K Jaon Kaisy
K Meelon Door Hy Phela December
Meri Aankhon Sy Gar Dekho Tou Jano
K Hy Barsaat Mein Jalta December
Jama Ponjhi Yehi Ht Umer Bhar Ki
Meri Tanhai.. Aur Mera DECEMBER..!!

​

​

10- December Ka Mahiina Bhi
Lo Bus Aa He Gaya Samjho
Jo Gar Aana Nahii'n Mumkin
Koi Waada He Ker Daalo
Tasalli Khush To Rakhegi
December Kat He Jayega

​

​

11- Wo Yaad kya aai k jaag utthi hai khwahish,
Taaza Dard sard hawa or November ki Akhri raat...


​

12- tees din takk isi deewaar pe latky ga ye aks.....
Khatam ek din mein december nhi hony wala

​

​

13- December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha

Baras Guzray Kahin
Main Nay ?Mohabat? Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Kay Tukray Per!
Achanak Yaad Aya Hay
Baras Guzray Kahin
Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi
Usay Kehna Tha
Jaan-Nay Jaan! ?Mujay Tum Say Mohabat Hay?
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kagaz Aj Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya


​

14- Uff Ye Alwiday-e- November Ki Boonda Bandi..,
December...! Tera, Andaz-e-Aamad to Khush Gwar Hy..

​

​

15- Zara si dair december ki dhoop mein bethen,
Yeh furstain humain shayed na agley saal milein.

​

​

16- khizaa k zard patton ka wo manzar yaad karta hai
usay kehna usay december bohat yaad karta hai


​

17- Sardiyun k ye ratein tmhy bht yad ai gy
Jab thand tmhre qadmon ko chu kr jai gy


​

18- andaaz e bayan rang badal deta hai!
warna Duniya mein koi baat nai nahi hoti...!


​

19- Uth Jao 'Fursaton' main khoye howay logo.......
Dekho 'November' ki akhri 'Sham' Kitni Udass hai...

​

​

20- Bichde bhi tum se toh December ki sard raaton mein,
Jab aarzooo thi so jane ki aud ke ter jism ki chadhar...........


​

21- Aaj Tak Teri Yadon Ke Phool Murjhaye Naheen Aye December....
Main Ne Humesha Unhe Apne Aansuon Se Taza Rakha Hai...


​

22- December Tum Mat Aya Karo !
Suno K ...
Jab Bhi Tum Aate Ho .
Uddasion Ki Andekhi .
Barishoon Main Dil Ko Bhigo Dete Ho .
Tum Aate Ho Tu Barfeeli Si Tanhaiyoon Ki .
Sard Hawa Kantoon Ki Tarha Rag-e-Jaan Main Chubne Lagti Hai .
Aur Akeele Pan Main Dukh Jaag Kar .
Neendoon Ko Nighal Jate Hain
Aur Jo Apne ...
Judaai Ki Dhund Main Kho Gaye Hein .
Humse Bahut Dur Hogaye Hain .
Unki Yaad Phir Se Aane Lagti Hai .
Suno December
TUM MAT AAYA KARO...


​

23- Lot aaya hai!
Hawain sard hain aur Vadiyan bhi dhund me gum hain!
Pahaaron ne baraf ki shaal
phir se orh rakhi hai!
Sabhi raste tumhari yad me pur'num se lagte hain!
Jinhain Sharf-e-Musaafat tha!
Wo saare cards,wo perfume, wo choti C diary!
Wo teris,wo chaye jo hum ne sath me P thi!
Tumhari yaad laati hain!
Tumhain wapis bulati hain!
Use kehna k daikho youn satao na!
December lot aya hai!
Suno!
Tum lout aao na!
Tum lout aao naa!

​

​

24- In Behte Huye Aansuoo Se Aqidat Hai Mujhe Bhi.......
Unki Tarha Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe Bhi.

​

​

25- Wo Agar Nazuk Hain To Main Bhi Pathar Nahi,
Tanhai Mein Rone Ki Aadat Hai Mujhe Bhi…...

​

​

26- Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay,
Socha tha g lon ga tuj se bichar kar, Guzarta nahi ik December akelay,

​

​

27- Aye sanam tere hijar mein na safar ke rahe na watan ke,
Girey tukrre dil ke kahin na kafan ke rahe na dafan ke

​

​

28- Tum Toh LOut K nAhi Aye nAA...
Dekho Mera December LOut aya hai...!

​

​

29- phir laut ke ayi hai december ki sard hawa,
Phir uski yaad me jalne ke zamane aye.,.

​

​

30- Yaad-e-Yaar ka mausam Or Sard Hawaon Ka Aalam,
Aye Dil Tiyaar Hoja December Aaney Wala hai..

​

​

31- Halki halki sard si hawa zra zra sa dard e dil,
Aye december andaaz acha hai terey aney ka!

​

​

32- Kaha bulbul ne rokar phool se,
Ye tera dilbar jane wala hai
Hawaie'n sard ho bathie'n
Wo zalim DECEMBER Ane wala hai

​

​

33- bheeGa bheeGA saa ye decmber hy..!
bheegi bheegi si tanhai hy

​

​

34- Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay,

Socha tha g lon ga tuj se bichar kar, Guzarta nahi ik December akelay,



​35-wo mujh ko sonmp gya farqatein December ki,

Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mosam hai.



​

                       Û© V.I.P SITE Û©

Official Verified Site.All Rights Reserved. ©

bottom of page