
THE QUOTES
​1- Ye Ishq-e-mohabbat ki riwayat bhi ajeeb hai,
Pana bhi nhi hai usay aur khona bhi nhi hai.

​
2-Ishq Ka Apna Ghuroor, Husan Ki Apni Anaa Hai,
Un Se Aaya Na Gaya, Mujh Se Bulaya Na Gaya.
​
​
3- Lamhon Main Qaid Kar De Jo Sadiyon Ki Chahtein,
Hasrat Rahi K Aisa Koi Apna Bhi Talabgaar Ho.
​
​
4- Mere Bas Mein Nahi Gardish-e-Ayyan Ki Dor Lekin,
KHUDA Tujhay Har Woh Khushi De Jis Ka Tu Talabgar Hai.
​
​
5- Usay To Torhna Ata Tha Us Nay Torh Diya,
Woh Janta Hi Nahi DiL Ki Ehmiyat Kya Hai.
​
​
6- Is baat ka ehsaas kisi par na hone dena,
K tere chahaton se chalti hein meri saansein.
​
​
7- Faaslay Kab Kam Huye Hein Raabton K Baad Bhi,
Ajnabi Thay Ajnabi Hein Mohabbaton K Baad Bhi.
​
​
8- Usne Kaha K Khuwaab Main Anay Ka Waqt Do,
Mene Kaha K Neend Ka Mausam Guzar Gaya.
​
​
​
9- Tere Wajood Ki Khushbo Basi Hai Saanson Mein,
Ye Or Baat Hai Nazaron Se Door Rehte Ho.
​
​
​
10- Iqrar-e-Mohabbat Ehd-o-Wafa Sub Jhooti Sachi Baatein Hein,
Har Shakhs Khudi Ki Masti Mein Bas Apni Khatir Jeeta Hai.
​
​
11- Nahi Zarurat Yaqeen Mano Tumhein Sajnay Sanwarny Ki,
Saadgi Mein Bhi Meri Jaan! Qayamat Ki Adaa Rakhti Ho.
​
​
12- Tamanna Hai Tumhare Pyar Mein Mash'hoor Ho Jaein,
Humein Tum Is Qadar Chaaho K Hum Magroor Ho jaein.
​
​
13- Meri Wehshaton Ko Barha Diya Hai, Judaaiyon K Azaab Ne,
Mere Dil Pe haath Rakho Zara, Meri Dharkano Ko Qaraar Do.
​
​
14- Raaz kisi ko Na Baato To ik baat kahun,
Hum Rafta Rafta Tere Hote ja Rahe Hain.
​
​
15- Un se Kehna Yeh raat Ki Udasian, Humein Achi Nahi Lagti,
Agar Ho SakayTo,Yeh Judai Thodi Mukhtasar Kar De.
​
​
16- Zikr Uska hi Sahi Bazm Mein Bethay Ho "FARAZ"
Dard Kesa Bhi Uthay Hath Na Dil Par Rakhna.
​
​
17- Tu wafa nibhany ka wada to kar Rab-e-Qaba ki QASAM,
Dam-e-Akhir tk tujh se wafa na ki to kafir kehna.
​
​
18- Lihaz-E-ishQ na hota to Tujh se Ranjishen hotien,
Shikayat sirf itni hai k Tu Samjha nahi Mujh ko.
​
​
19- Ye sansain b tham jati hein,Ye dharkan b ruk jati hein,
Hum jeene marny lagte hain jab yaad tumhari ati hai.
​
​
20- Kabhi youn bhi tu ho baazi palat jaaye aye kaash,
Usay yaad sataye meri aur mein mazay mein rahoon.
​
​
21- Tarz-E-Wafa Ko Us ki Kia Naam Doon Main Ab ??
Khud Door Ho Gaya Ha, Mujh Ko Qareeb ker k.
​
​
22- Ilam Ka Ambaar Raah_E_Ishq Mein Bekaar Jata Hai,
Majno'on Ko Bas Laila Ka Ghar Yaad Hona ChaiyE.
​
​
23- Nigah Utha K Wo Dekhein Kabhi Jo Meri Taraf,
Wo Hi Ek Nigah Meri Kainaat Hoti Hai.
​
​
24- Uska milna hi muqaddar me na tha warna
Hum ne kia kuch nahi khoya usay paaney k liye ?
​
​
​
25- Sirf Woh Ik Shakhs Kisi Tarah Se Mil Jataa,
Mujhe Manzoor Thay Phir Jitnay Bhi Khasaaray Hotay.
​
​
26- Kyun Aysa Hota Hai Aitebaar Ki Tooti Dehleez Par
Jo Bohat Apnay Hoon, Aksar Apnay Nahin Rehtay
​
​
27- Main apni zaat ki tanhaiyon main zinda ho,
Mager ye b sach hai k mujhe teri zarorat hai bohat.
​
​
28- Kaash tum ek lamhe k liye mere pas aa jao,
Aur us ek lamhe main,Us lamhe ki Aankh lag jaye.
​
​
29- Kaash Guzarti Shab Mujh Pe, Mehrbaan Ho Jaye,
Suno' Kya Aysa Ho Nahi Sakta, Achanak Tum Chali Aao ?
​
​
30- December Ka Maheena Bhi, Magar Anay Ko Hai Lekin,
Koi Waada He Kar Daalo , Agar Tum Lout Saktay Ho.
​
​
31- Wo Khuwaab Main Bhi Nahi Muyassar,
Hijaaab Ki Intihaaa To Dekho
​
​
32- jis simt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho
Aey jaan-e-jahan ye tum sa hai koi k tum ho ?
​
​
33- Har ik din udaas tamaam shab udaasiyaan,
Kisi se kya bichr gaye k jese kuch bacha hi nahi.
​
​
34- Yeh muhabbat bhi to ik shararat hai,
Tum bachy to nahi thay phir kiun ki ?
​
​
35- Aaj us ne ajeeb sawaal kiya,
Mujh pe marty ho to zinda kese ho ?
​
​
36- Samajh jaata hoon lekin dair se mein daao-pech us ke,
wo baazi jeet jaata hai mere chaalaak honay tak.
​
​
37- Ae tabib ik baar to kar de dawaye-dard-e-dil,
Agli baar toba soo baar toba hum muhabbat na karein ge.
​
​
38- Ik muddat ke baad hum ne yeh jana ae khuda,
Teri zaat se ishq hai sucha baqi sab afsaany hein.
​
​
39- Hum jaan se jaein ge tabhi baat banay gi,
tum se to koi raah, nikali nahi jati.
​
​
40- Bohat nazdeek ho kar bhi woh itna door hai mujhse,
Ishaara ho nahi sakta pukara ja nahi sakta.
​
​
42- Kabhi dekha hai andhay ko kisi ka haath pakar k chaltay,
Mene muhabbat mein tum pe youn bharosa kiya thaa.
​
​
43- Tere Bakhshay Huye Daaghon Ki Chamak itni Hai,
Raat Hoti Hai To Hum Shamma Bhujja Dethe Hein.
​
​
44- Bas aik raat mulaqaat ka howa waada,
Woh din aur aaj ka din neend phir nahi ayi.
​
​
45- Dekhta hun Tasveer-e-Yaar to aata hai mujhy rashk,
Har baat Laa-Jawaab thi agar Bewafa na hotay.
​
​
46- Koi Hunar,Koi Rawish ,Koi Tareeka Batao,
K Dil Tooty B Na,Wo Milay B Na,Or Chain B A Jaye.
​
​
47- Hum Raaz ko Raaz Hi Rakhte To Acha Tha 'Mohsin'
Yun Chahat ka Bata k Ussay Magroor kar Diya..
​
​
48- jeetay hein to koi haal tak nhi poochta "FARAZ"
martay hein to duniya kandhon pe utha leti hai.
​
​
49- Ek us k hansne se duniya me ronakein hein "FARAZ"
wo udas ho to zamana bara weraan lagta hai.
​
​
50- aj teri galiyon se guzri hai maiyat meri,
dekh marnay k baad b rasta nhi badla.
​
51- tu aa kabhi dekh unki raaton ka qayaam,
kitna sisaktey hein logon ko hasanay walay.
​
​
52- Ye aur baat hai k us se wafa na ho saki,
magar jo us ne waaday kiye wo ghazab k thay.
​
​
53- Tumhe Maloom Bhi Hai Mai Tanha Reh Nahi Sakta,
Meri Adat Badalnay Tak To Mere Saath Ruk Jao.
​
​
54- Mohabbat Hai K Nafrat Hai,Koi Itna Tou Samjhaye,
Kabhi Main Dil Se Larta Hoon,Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai.
​
​
55- De itni lazzat apne sajdoon main Ya Rab mujhey,
K is bewafa duniya ko yaad karne ka waqt hi na miley.
​
​
56- Jis ke liye humne saari haddhe torr di,
~~Aye Ishq~~
Wo aaj mujhse kehte hai, apni hadh mein raha karo
​
​
57- Log shor se jaag jatay hain,
Mujhe uski khamoshi sonay nahi deti.
​
​
58- Ajeeb Sa Khumar Meri Akhon Pe Chaya Hai,
Har Pal Har Jaga Bus Teri Nazron Ka sayaa Hai.
​
​
59- Un ki Na Thi Khata, Hum Hi Kuch Ghalat Samjh Bethay,
Wo MuhaBBat Se Baat Karty Thay, Hum MuhaBBat Samajh Bethay.
​
​
60- Agar Wo Zindagi Mein Faqat Ek Baar Mera Ho Jata,
To Main Zamane Bhar Ki Kitabon Se Lafz-e-Bewafai Mita Deta.
​
​
61- Samaj Nahi Aati Mohhbbaat Ki Kahani Kya Hai,
Sajda Khuda Ko Kar Ke Maangtay Insaan Ko Hein.
​
​
62- Bohat mushqil ho gya hai khud ko Sambhal Pana,
Magar wo keh gya hai Apna khayaal rakhna.
​
​
63- Ye fikr, ye adawatein, Ye andaz-e-guftagu,
Sambhal jao tum, tumein Mohabbat ho rahi hai.
​
​
64- Har waqt mera weham meri jaan leta hai,
Ek baar phir se keh do na k tum sirf mere ho.
​
65- Mohabbat waqt k be-rehm toofan se nhi darti,
Usay kehna bicharnay se Mohabbat to nahi marti.

​
66- Socha tha usey chor k khush rehne lagein ge,
par ab Sara Zamana Mujhe Acha Nahi Lagta.
​
​
67- Tum Jaante H0 Waqt Se Banti Nahi MeRi..
Zidd Kis Liye KaRte Ho? Kaha Na,Aap MeRe Ho.
​
68- Tujhe chahne ka jurm hi tou kia tha,
Tu ne pal pal marna meri saza kar di..
​
69- wo rootha rootha sa lagta hai,
koi tarkeeb batao pass aanay ki,
mai zindgi girvi rakh sakta hoon,
tum keemat batao usey manane ki.
​
70- Tumhe pata hai ye muhabbat kya hai?
Chalo chodo jaan jao ge,to jaan se jao ge
​
71- Tum jis ada-E-khud sari pr ho maghroor,
Nisab-E-iShq me wo zulm ki hadh hoti hai.
​
72- Aaj Us Ne ek Aur Dard Diya to Hamein Yaad Aaya,
Hum Ne Bhi t0 Dua'0n Mein Us k Saare Dard Maange Thay.
​
73- Fir Nahi Baste Wo Dil Jo Ek Baar Toot Jate Hein,
Ae-Dost
Qabrein Jitni Bhi Sanwaro,Koi Zinda nhi Hota.
​
74- Ab kahan zarurat hai haathon mein pathar uthane ki,
todhne wale to dil zubaan se hi todh diya karte hain.
​
75- Yeh Sahil Per Bikhrey Huye Phool,
Na Janay Aj Phir Kis Ki Mohabbat Doob Gayi.
​
76- Masroofiyat Mein Ati Hai Behadh Tumhari Yaad,
Fursat Mein Teri Yaad Se Fursat Nahi Milti.
​
77- Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan,
Meri Khamoshi Ko Saza Na De,
Jo Tere Baghair Na Jee Sakey,
Usay Zindagi Ki DUA Na De.
​
78- Tu hi bata Kahan se Dhoond kr laoon ab Apne ap Ko,
Tujhe paane k Liye mene Khud Ko kho Diya Hai.
​
79- Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi,
Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Addat hai.
​
80- Lambi Musafaton Ne Chupkey Se Ye Kaha,
Tanha Jo Aa Rahy Ho, Mohabbat Se Kiya Mila?
​


MORE WILL BE UPDATED SOON.THANKS!
Û© V.I.P SITE Û©
Official Verified Site.All Rights Reserved. ©